Vote hamara Kartawya!
Is se pahle ki hum dosh de kisi aur ko, khud ko note
kare…
Agar banana ho achhi sarkar, soch samajh kar vote
kare..
Roz padhte hain tadke uth ke akhbaar ko itminan se,
Ek baar jaroor padhe har party ke manifesto ko dhyan
se..
Gaur se dekhe ki kya kuchh badla hai pichhli chunao ki
baton se,
Ya fir wahi poorani jhuti wado ki kahani, netaon ke jhanso
se..
Yeh hai desh ka sabse bada talent show,
Sacche aur sahi ko vote de, chahe jo ho so ho..
Is se pahle ki hum yeh soche ki desh ne hame kya diya
hai,
Hamen sochna hai kya hamne sani netaon ka chunav kiya
hai?
Itihas sakchhi hai ki ek sahi wyaktitwa hi desh ko
aage le ja sakta hai,
Warna mahan se mahan rajya ka patan kahin itihas gadh
sakta hai…
Vote ki Hai aaj yeh takat aapke haath main,
Apna haath Jagannath ko badle aaj hum sakshya main..
De kar Zaroor se vote, Usi sakhsiyat ko banaye neta…
Jise dekhkar garv se kah sake saara desh….Yeh hai
Hamara Neta…
Aao Le Pran!, Laga ke apna tan man,
Chunav ke din tadke uth kar, taiyar ho jayenge,
Sahi party awam
neta ko vote de , desh ke sacchhe nagrik kahlayenge.!
Bharat maa ka
aap sabko wasta hai, mera yeh ahwan hai,
Vote jaroor de, yeh kartawya bharat maa ki bhakti ke
saman hai…
